A selection of lovely poetry , romantic poetry , cute poetry, sweet poetic & friendly poetry and texts. To share with close friends & loved ones. Send good morning loves quote, love sms jokes, love poems sms, hate u sms to your soul mates.
March April k din bhi
Kitny ajeeb hoty hain
Jab jab phool khilty hain
Dil murjhany lagty hain
Kuch bichre loog yaad anaye lagty hain
Yuun to bhari bahaar main her tarf khushbu hoti hai
Dil ko na jany kiss ki justajuu hoti hai
Jab bhi yah mahkii fizaain ati hain
Guzra waqt yaad dilaati hain
Yeh jo her tarf gull khily hoty hain
Dil main yadoon k nishter chabooty hain
Koon kahta hai
Baharain khushyaan latiin hian
Yah to Udasioon se daman bher jati hain
Popularity: 2% [?]
Mujhe kitaab k saf’hon main band rehne de
Tu apne khawab k saf’hon main band rehne de
Tu apne qurb ki khushbu se muj ko door na ker
Mujhe gulaab k saf’hon main band rehne de
Ke mera saara sakoon,sab qarar isi main hai
Shab-e-azaab k saf’hon main band rehne de
Na khol mujh ko,meri jaan tujh ko dukh ho ga
Mujhe hijaab k saf’hon main band rehne de
Bare hi shoq se ker raasta juda mujh se
Per apni aankh k saf’hon main band rehne de
Na dhoond mujh ko samandar ki tund lehron main
Mujhe habaab k saf’hon main band rehne de
Na yaad ker mohabbat ki wo shidaten Wasiq
Unhen shabaab k saf’hon main band rehne de
Popularity: 2% [?]
use anjan rastoon se guzar jane ki khawish thee
muhabat main amer honey, mit jane ki khawish thee
wo kehta tha jeewan tergi hai
or
humain is tergi main rang bherne hain roshni ke
or
hum ko mukhtsir se chund lamhe jo muyaser hain
ye muhabat se lamhe abad kerne hain
kisi ko door se dekhna or kisi se baat kerni hai
jahan ye din guzar jaye waheen ye raat kerne hai
wo kehta tha muhabat ka koi musam nahi hota
ye her musam ka jazba hai jo kabhi kam nahi hota
adhoori se muhabat ki humain takmeel kerne hai
muhabat ko ney dhab se basar ker jane ki khawish
use shab bher jagatee thee
ne jane kon see chahat use shab bher statee thee
shanasa tha per her ik se anjan rehta tha
buhat abad tha lakin buhat weran rehta tha
use her shaks ko hairan ker jane ki khawish thee
muhabat main amer ho jane,mer jane ki khawish thee
Popularity: 2% [?]
KUCH DAIR HUMARE SAATH RAHO
Kuch dair humare saath raho
Kuch apne rung bikharne do
Kuch apni khushboo bikhraaoo
Aur shiree shabnumi lahje main koinarm mulayum baat karo
Jis lamhe main mojood hain hum,ye lamha mooj hai sagar ki
Tum is lamhe k saath baho
Kuch dair humare saath raho
Tareekh k jabr ki baat hi kiya
Hum dono ki ooqaat hi kiya
Kuch roop ka sona daan karo,
khairaat apni muskaan karo
Hum jaise shayar logo ka jeena marna aasan karo
Sandal si bahain phailaoo,kuch nazmain
ghazalain de jao
Jo shayad baqi rah jayain
Phir do saal k baad koi naqaash fun - e - kamal karde
Pni har pour raqm kar de
Aur raaj kataas k pathar par
Ek lok riwaayat nuqsh karain
Hum dono ko tamseel kare,aaina aks ba aks kare
Jis aks pe khushboo lahraye,jis nuqsh pe titli ruqs kare
Phir aik hazaar burs guzrain,phir chaar hazaar burs guzrain
Phir asaar shanasi k maahir is daur ki jub takhleeq karain
Is rusm-ul-khut ko pahchane us lamhe ki tasdeeq karain
Ye lamha qayem dayem ho
Us lamhe ki sab ko milta us aahud k shayar tak pohunche
Ye qisaa aakhir tak pohunche
Kuch dair humare saath raho
Koi kiya jane lamha bhar mai, ye lamha humare saath na ho
Kuch humare saath raho
Popularity: 2% [?]
Usay janay ki juldi thi
Mujhe us ne bataya tha
Mohabbat karne wale pyar main dhoka nahi karte
Jub koi baat karta ho usay toka nahi karte
Jisay janay ki juldi ho usay roka nahi karte
Unhi batoon batoon main
Mujhe ab yaad aya hai
Usay janay ki juldi thi
Popularity: 2% [?]
Phir Yeh Mausam Yeh Phool Hoon Kay Na Hoon
Phir Duaain Qabool Hoon Kay Na Hoon
Zeest Kay Zawiay Badal Jain
Qehqahay Aansuoo Me Dhal Jain
May Bhatak Jaoo Tu Badal Jaay
Gerdishay Waqt Chaal chal jaay
Phir Yeh Mausam Yeh Phool Hoon Kay Na Hoon.
Aap Meray Qareeb Hoon Kay Na Hoon
Aap Meray Rafeeq Hoon Kay Na Hoon
Phir Yeh Lamhay Naseeb Hoon Kay Na Hoon
Aao Ik Doosray Me Kho Jain………………………………….
Subha Hanay Tak To Soo Jain…………………………
Popularity: 2% [?]
Mainu Tera Shabaab Le Baitha
Rang Gora Gulab Le Baitha
Kinni Beeti Te Kinni Baaki a
Mainu Eho Hisaab Le Baitha
Mainu Jad vi Tusi O Yaad Aaye
Din-Dihade Sharab Le Baitha
Changa Hunda Sawaal Na Karda
Mainu Tera Jawaab Le Baitha
Rang Gora Gulab Le Baitha
Mainu Tera Shabaab Le Baitha
Popularity: 2% [?]
Mere saath tum bhi dua karo
yun kisi ke haq me bura na ho
kahin aur ho na ye haadsa
koi raaste me juda na ho
Sare shaam thehri hui zami
jahan aasma hai jhuka hua
usi mod pe mere waaste
woh chiragh leke khada na ho
Meri chhat se raat ki sej tak
koi ansuon ki lakeer hai
zara badh ke chand se puchhna
woh isi taraf se gaya na ho
Woh farishte aap talash karen
kahaniyon ki kitaab me
jo bura kahen na bura sune
koi shakhs unse khafa na ho
Woh firaq ho ke wisaal ho
teri aag mehekegi ek din
woh gulaab ban ke khilega kya
jo chiragh ban ke jala na ho
Popularity: 2% [?]
Mai kya likhun ke jo mera tumhara rishta hai
wo ashiqi ki zaban me kahin bhi darj nahi
likha gaya hai bohot lutfe wasle,darde firaq
magar ye kaifiyat apni raqam nahi hai kahin
ye apna ishq hum aaghosh jisme hijr-o-wisal
ye apna dard ki hai kab se humdam maah-o-saal
is ishq-e khaas ko har ek se chhupaye huye
guzar gaya hai zamana gale lagaye huye….!
Popularity: 2% [?]
"Puraani Kitaab Mein Rakhii Taveer Se Baatein"
Aaj barsoo ke baad dekhaa hai..
Abb bhii aankhoon ka gehraa rangg hai..
Aur maathay ki saanwliisii lakeer
Dil mein kitnay diye jalaati hai..
Teri qaamat k saaye ki khushboo
Guftugoo mein bahaar ka mausam..
Bay-sabab aietbaar ka mausam
Kyoon mujhey sarey dhangg yaad rahay
Kitni hairaan ho gaiiii khud par
Mein tujhey aaj tak nahi bhoolii
Pichhley mausam ki yaad baaqii hai..
Popularity: 2% [?]