Ab meray shanay say lag kar kis liey rotay ho tum
yaad hai tum nay kaha tha
"jab nigahon main chamak ho
lafz jazbon kay asar say kanptay hon, aur tanafuss
iss tarah uljhain ki thakan khushboo banay
to woh ghari ehad-e-wafa ki saa;at-e-nayab hai
woh jo chupkay say bichhar jatay hain lamhay hain, Musafat
jin ki khair paoon par pehray bithati hai
nigahain dhund kay pardon main unko dhoondati hain
aur samaa;at unki naram aahat keliey
daman bichhati hai"
aur woh lamha bhi tumko yaad ho ga
jab hawain sard thin aur sham kay melay kafan par
hath rakh
tum nay lafzon aur ta;luq kay naey ma;ani bataey thay, kaha tha
har ghari apni jagah par saa;at-e-nayab hai
hasil-e-umar-e-guraizan aik bhi lamha nahin
lafz dhoka hain keh n ka kaam iblagh-e-maani ke ilawa kuchh nahin
waqt maani hai jo har lehza naey chehray badalta hai
janay wala waqt saaya hai
keh jab tak jism hai yeh aadmi kay sath chalta hai
yaad misl-e-natq-e-pagal hai, keh iss kay lafz maani say tahi hain
yeh jisko tum ghum, aziet, dard, aansoo
dukh waghaira keh rahay ho
aik lamhaati ta;asur hai, tumhara veham hai
tum ko mera mashwara hai, bhool jao tum say ab tak
jo bhi kuchh main nay kaha hai"
Ab meray shanay say lag kar kis liey rotay ho tum!

Popularity: 7% [?]