wo maang leta to usay mohabbat ka darya deta ,
us ne to shayed ek qatra hi churana chaha,
lot aata to raah mein us k moti bichha detay,
us ne to shayed mujay bhoolnay ka bahana chaha,
meri shiddat ki mohabat hi mera jurm ban gai ,
us ne to shayed kuch faasla hi barhana chaha
es qadar dard bhi ab mujay chubta nhi ,
us ne to shayed ye fun hi mugay sikhana chaha,
Ankhoon Mein Nami Ka Raaz Rakhti Hoon
Mein Tanhaiyon Se Dosti Ka Jawaz Rakht Hoon
Woh Ager Chaly Mere Sath Do Qadam
Phir Dekho Mein Kesi Perwaaz Rakhti Hoo
Khawahishon Pe Daal Rakhi Hai Kamand Sabr Ki
Dabaa Ke Dil Mein Jazboon Ki Awaaz Rakhti Hoon
Suno! Naraz na ho Humse, Suno na yun door jao Mujhse,
Hum Khud wo hain Jin ko, manana bhi nahi aata,
Kisi se kabhi Hum ne, mohabbat Jo nahi ki hai,
Mohabbat kis tarha hoti hai,
Yeh jatana bhi nahin aata Humein,
Suno! Naraz na ho Humse,
Na koi Phool Tum jaisa ki mehak uthe,
Haare hue logon sey yon rootha nahi karte,
Suno! Is kadar naraz na ho humse??…!!!!
Qadam Qadam pe tha ik Marhala mein kya karta
Taweel hota gaya Faasla main kya karta
Ghum-e-Hayat Ghum-e-ishq aur Ghum-e-Ehbaab
Ulajh gaya tha har ik Silsila Main kya karta
Wo Aansuon ki Zubaan jante na they
Mujhe Bayaan ka na tha Hausla Main kya karta..!
pagal aankhon wali larki!
i
tnay mehangay khawab na dekho -
thak jao gi !!
kanch say nazuk khawab tumharay
toot gaye to
pachta-o gi !!
soch ka sara ujla kundan
zabt ki rakh main ghol jaye ga
kachchay pakkay rishto.n ki khooshboo ka resham
khul jaye ga!
tum kiya jano ?
khawab , safar ki dhoop kay teeshay
khawab , adhoori raat ka dozakh
khawab , khayalo.n ka pachtawa
khawabo.n ki manzil ruswai !
khawabo.n ka hasil tanhai !!
tum kiya jano?
mehangay khawab khareedna ho.n to
aankahein baichna parti hain —ya
rishtay bhoolnay partay hain
andesho.n ki rait na phanko
piyas ki oat sarab na dekho
itnay mehangay khawab na dekho !!
thak jao gi !!
pagal aankhonn wali larki
itnay mahangay khwab na daikho