A selection of lovely poetry , romantic poetry , cute poetry, sweet poetic & friendly poetry and texts. To share with close friends & loved ones. Send good morning loves quote, love sms jokes, love poems sms, hate u sms to your soul mates.

Archive for the ‘Funny Poetry’ Category


Aaaaaaahhhhhhhhhhhhh hh !!
Najany kab say
grade buray aatay hain
Mujhe phir bhi akallll…ll…. kion nahin aati hai??
Najany kab say…..
Door jitna ’A’ hay mujh say… paas ’F’ kay main..
Ab to aadat se hai mujh ko.. fail honay main….
teachers ko koi shikwa hi nahin hai..
Ab to zinda hoon main detention center main..
kitab aisi hai yeh meri.. chalti jaey…
theory aisi hain yeh isski.. mujh ko sataaaey…!
yaad karna itna mushkil hai kay dil doob jaey…
aur aankhoon main yeh sum num ban jaey
hey hey haiy hi haey hay ohohohohhhhhhhhhhhhh h….
ab to aadat si hai mujh ko fail hoanay main
hey hey haiy hi haey hay ohohohohhhhhhhhhhhhh h ahahahahahhhhhhhhhhh hh
sab formulay hain..!
sab theorian hain……!!
bhoola do unhain..!
jala do unhain………….. ……………
ahahahahahhhhhhhhhhh hh
ohohohohhhhhhhhhhhhh h ……………
aaa…..aaa….aa… ..! ab to aadat si hai mujh ko….!!!!

Popularity: 5% [?]

doob te ko tinkay ka sahara chahye
shadi k liay behnon ka ek ishara chahye
hazar nuks nikalti hain larke k chahre main
koi pooche to un se kia sitara chahye
chaar shararon se baat nahi banne wali
saath main to un ko ek khatara chahye
behno! karo khayal kam hogaye hain baal
warna kahen ge woh larka hamen karara chahye
kitni bar kaha baaji larki hai yehi behter
mughay bhi to aakhir gunahon ka kuffara chahye
tum bhi sunlo larki walon yeh daastaaan
phir na kehna hamen interview doobara chahye
ab to reh guzar main aakay par gaya hoon
le jao jis ko bhi yeh baaboo bichara chahye
kion dikhayi larki walon ki itni sharafat jawed
woh kehte hain hamen larka thora aawara chahye

Popularity: 5% [?]

Py@r Ka Computer

Abhi abhi to pyaar ka computer kiya hai chaaloo
Aab main dil ki hard disk pe aur kitni files daaloo

Apne chehare se ruswaai ka error to hatao
Ai jaaneman apne dil ka password to batao

Woh to hum hain jo aap ki chahat dil main rakhte hain
Warna aap jaise kitney hi softwares bazaar main bikte hain

Roz raat ko aap mere sapne main aate ho
Mere pyar ko mouse bana ke ungaliyon pe nachaate ho

Tere pyar ka email mere dil ko Lubhataa hai
Par beech main tere baap ka virus aataa hai

Aur karvaaoge humse kitnaa intezaar
Hamaare dil ki site pe kabhi enter to maro yaar

Apni insult ka badalaa dekhna main kaise loonga
Jaaneman tere baap ko Shift Delete kar doonga

Aap jaiso ke liye dil ko cut ker diya karte hai
Warna baaki cases main to copy paste kiya karte hai

Aapka hasnaa aap ka chalnaa aap ki woh style
Aapke adaaon ki hamne save hai kar li file

Popularity: 5% [?]

ITNE PAREY AB KE DANDEY TRI GALI MEI
ARMAN HO GAYE SAB THANDEY TERI GALI MEI /headache

EK HATH MEI HAI KANGHI, ZULFEIN SANWARTE HAIN
GAREIN GEY AASHKI KE JHANDE TERI GALI MEI /patient

AB KYA BATAIN ZALIM KAISE GUZARTEY HAIN
SUNDAY TERI GALI MEI’ MONDAY TERI GALI MEI /johukam

SEENE PE HATH RAKH K TUJH KO PUKARTEY HAIN
JAB MARTEY HAIN MUNDEY PATHER TERI GALI MEI /sad1

TERAPTEY HAIN KITNA ZALIM TUJH KO TARAS NA AAYA
KER LEIN GEY ONE DAY KHUDHKUSHI TERI GALI MEI /hang

HUM DHOOND LEIN GEY KOI DEEDAR KA BAHANA
BECHA KAREIN GEY AB HUM ANDEY TERI GALI MEI

Popularity: 5% [?]

kabh Se Boot Kiye Bhaitha Hoon,
Pc Apnay Pyaar Ka.
Kaisay Type Karoon Mein Lakin,
Password Izhar Ka.

Dil Ki Charoun Drives Mein Mainay,
Janna Tujh Ko Search Kia.
Yahoo,yahoo,google,g oogle,
Kitna Paisa Kharch Kia.

Tere Chahray Pe Ghussay Ka,
Screensaver Jub Aata Hai.
Meray Chehray Ka Display Tabh,
Geryscale Ho Jata Hai.

Jinke Links Abh Toot Chuke Hain (ex-boy Friends)
Shortcuts Wo Wipe Karo,
Apnay Dil Ki Mail Box Mein,
Mera Address Type Karo.

Chahatoon Hai Teray Pyar Ki Site,
Raat-din Mein Hack Karoon.
Pattar-dil- Daddy Ka Teray,
Software Bhi Crack Karoon.

Buddha Ager Jo Maan Gaya Toh,
Hum Connect Ho Jaayenge.
Vsnl Ke Server Ki,
Phairay Phir Saat Lagaayenge.

Ginti K Bus Bachay Hain Baaqi,
Meray Jeewan Kay Yeh Pal.
Tu Jo Aa Ke Pyar Se Choo Lay,
Mil Gaye Ga Aur Ek Kal (oracle)

Popularity: 5% [?]

Hum nay Bhi Pyar Ka Computer Kiya tha Start
Par Ussi Time Achanak Ghar ki Bijli Gayi Bhag

Mana kay Hum Aap ko Password tu Bata Dein gay
Par yeh Batain Aap Username mein kiya Dalain gay

Mana hum jaisay Software Bazar mein Bikhtay hain
Par un ko Purchase Kartay waqt Pasinay kiyoon nikaltay hain

Mana kay hum tum ko Mouse ki tarah nachatay hain
Par saath mein Gattay ki chabi bhi chalatay hain [Key Board = Gattay ki Chabi]

Virus say Bachnay kay liye Anti virus Install karain
Aur Pyar ki batoon mein Chichorapan na karain

Tum Dil Ki Site tu Kabhi Khulti hi Nahi
Kiya Karoon aj kal Net use karti hi nahi

Koi bhi plan pehlay nahi bataya karo
Meray Walid .Sys File hain un ko delete na karo

Aap Dil kay Liye cut , copy, pasteki baat kartay hain
Hum tu Dil Ki Zip file hi bana liya kartay hain

Hamain Aap ka Dil Denay ka style Na pasand aya
Aur Hum nay Apnay Pyar kki Hardisk ko Format Par Lagaya

Popularity: 5% [?]

Ahat c koi aatee hai to lagta hai tum ho,
Hawa koi lehratee hai to lagta hai k tum ho
Ub tum he batao k kia tum kisee bhoot say kam ho

Popularity: 5% [?]

Aahat si koi aye to lagta hai ki tum ho.
Hawa koi lehrayi to lagta hai ki tum ho.
Ab tum hi batao, kya tum kisi BHOOT se kam ho ?

Maine poocha chand se…
Kabhi dekha hai mere yaar sa hasin…..
Chand bola…. 12036 entries found !

Arz kiya hai,
Door se dekha to santra tha,
pass jake dekha to santra tha,
cheel k dekha to bhi santra tha,
Kha ke dekha to bhi santra tha.
Wah kya santra tha !

Jise dil diya woh dilli chali gayi,
jise pyaar kiya woh chali gayi.
Khud kashi karne chala,
Zalim bijali ko haath lagaya, Bijali he chali gayi.

Macchar ne jo kata…
dil main mere junoon tha.
Khujli hui itni… dil be sukoon tha.
Pakra to chor diya yeh soch kar ki….
kambakht ki ragon main apna hi khoon tha!

Ikhtiyarre tabbasum ki lau ko tarranume numayish se aghaa dena…
Jo iska matlab samajh aaye to please mujhe bhi bata dena…..

Kash tumhare chere pe chicken-pox ke daag hote,
Kash tumhare chere pe chicken-pox ke daag hote,
chand to tum ho he, sitare bhi saath hote!!

Suraj Hua Madham ,
chand bhi chalne laga,
mein thehra raha, zamin chalne lagi,
sajna kya yehi pyaar hai ??
Nalayak, yeh pyar nahi EARTHQUAKE hai ! BHAAG !

Osama Bin Laden’s favourite song :
" mainnikla, plane leke, o raste mein, newyork mein, ik mod ayamein
W.T.C.
tod aaya… "

Jab Jab tum angdai lete ho dam hamara nikal jata hai.
Aye zalim Deodrant lagane me tumhara kya jata hai ?!

Itna khubsurat kaise muskura lete ho..
itna kaatil kaise sharma lete ho..
kitni aasani se JAAN le lete ho..
kisine sikhaya hai ya bachpan se hi stupid ho!!

unki gali se guzar rahe the kya ittefaq tha,
unki gali se guzar rahe the kya ittefaq tha,
unhoon ne phool phainka par gamla bhi saath tha !

Popularity: 5% [?]

YE BAAT SAMAJH MAIN AAI NAHI
Ye baat samajh main aai nahi, Aur Ammi ney samjhai nahi
Main kaisay meethi baat karoon? Jab meethi cheeji khai nahi
Aapi bhi pakaati hain Halwa, Woh aakhir kiyon ’Halwaai’ nahi?
Bhayya ki mangni ho gai kal, Kiyoon kal hi ’Dulhan’ mangwaai nahi?
Ye baat samajh main aai nahi

Naani ke miyaan jab Nana hain, Dadi ke miyaan jab Dada hain……
Tab Aapi se main ne poocha ..Baaji ke miyaan kiya ’Baaja’ hain?
Woh huns huns kar yoo kehnay lagi, A bhai nahi yeh bhai nahi
Ye baat samajh main aaai nahi

Jab naya maheena aata hay, Bijli ka bill aa jaata hay
Halaankey Baadal bechaara ye bijli mufft Lutata hay
Phir hum ne apnay ghar Bijli….Kiyoo Badal se lagwaai nahi?
Ye baat samajh main aai nahi

Gar Billi ’Shair’ ki khala hay?…phir hum ne ussay kiyoon pala hay?
Kiya ’Shair’ bohat nalaayak hay? Khala ko maar nikala hay?
Ya jungle ke Raja kay yahaan… kiya milti doodh malaai nahi?
Ye baat samajh main aai nahi

Kiyoon Lambay baal hain bhaalu ke ? Kiyoon uss ki tind karai nahi?
Kiya ’woh’ bhi Ganda bacha hay?.. ya uss ke Abbu,bhai nahi?
Yeh uss ka ’Hair Style’ hay?….. ya Jungle main koi Naai nahi?
Ye baat samajh main aai nahi,

Jo Taaray jagmag kartay hain, Kiya unn ki ’Chachi Taai’ nahi?
Ho ga koi rishta sooraj se? ye baat humain batlaai nahi
Per Chanda kaisa mamoo hay? jab ammi ka woh ’bhai’ nahi?
Ye baat samajh main aai nahi,

Ye baat samajh main aai nahi, Aur Ammi ne samjhaai nahi
Main kesay meethi baat karoon? jab meethi cheeji khai nahi /mast

/utho

Popularity: 5% [?]

yeh document, yeh meetings, yeh features ki duniya,
yeh insaan ke dushman, cursors ki duniya
yeh deadlines ke bhooke, management ki duniya;
yeh Product agar ban bhi jaaye to kya hai?

Yahaan ek khilona hai programmer ki hasti
ye basti hai murda bug-fixers ki basti
yahaan par to raises hai, inflation se sasti
yeh Review agar ho bhi jaaye to kya hai?

har ek keyboard ghayal, har ek login pyaasi
excel mein uljhan, winword mein udaasi
yeh office hai ya aalame microsoft ki
yeh Release agar ho bhi jaaye to kya hai?

jalaa do ise, phoonk daalo yeh monitor
mere saamne se hataa daalo yeh modem
tumhaara hai tumhi sambhaalo yeh computer
yeh Product agar chal bhi jaaye to kya hai?

Popularity: 4% [?]

Mobile Talks Free sms (beta)



Recent Comments



Recent Posts


Recent Comments