A selection of lovely poetry , romantic poetry , cute poetry, sweet poetic & friendly poetry and texts. To share with close friends & loved ones. Send good morning loves quote, love sms jokes, love poems sms, hate u sms to your soul mates.

Archive for the ‘Urdu Ghazal’ Category


Wo Dil Mein Basa Kuch Istarha,

Mein Sari Dunya Bhulati Rahi,

Har Sans Mein Uski Khushbo Ati Rahi,

Mein Pal Pal Dil Ko Behlati Rahi,

Kabhi Hans Kar Kabhi Ro Kar,

Mein Mohabbat Ki Galiyon Ko Sajati Rahi,

Har Raat Chand Ko Takti Rahi,

Har Ghari Uska Intezar Karti Rahi,

Har Khushi Mile Usay Zindagi Mein,

Har Pal Ye Dua Karti Rahi,

Na Miley Koi Gham Usay,

Khud Aanhein Bhar Kar Roti Rahi,

Har Din Mein Usko Chahti Rahi,

Har Pal Uski Yaad Ati Rahi,

Har Raat Ko Wo Yaad Ata Raha,

Har Raat Meri Yun Sulagti Rahi,

Kuch Khoyi Uski Baaton Mein Istarha,

Bus Usi Ki Awaz Ko Sunti Rahi,

Usay Har Pal Yaad Rakhnay K Liye,

Bus Usi K Gun Gaati Rahi,

Gumm Huii Us CHAND Mein Yun,

Har Simt Usi Ki Surat Dekhti Rahi,

Bus Kati Meri Zindagi Istarha,

Mein Usi Ki Khatir Jeeti Rahi,

Wo DIL Mein Basa Kuch Istarha,

Mein Sari Dunya Bhulate Rahi……

Popularity: 26% [?]

sitam zaahir, jafaa saabit, musallim bevafaa tum ho
kisee ko fir bhee pyaar aaye to kyaa samajhein ki kyaa tum ho

chaman mein ikhtlaat-e-rang-o-boo se baat bantee hai
hamee’n ham hain, to kyaa ham hain, tum hee tum ho to kyaa tum ho

andheree raat, toofaanee hawaa, tootee huee kishtee
yahee asbaab kyaa kam the ki iss par naa-khudaa tum ho

mabaadaa aour ik fitnaa bapaa ho jaaye mahfil mein
meree shaamat kahe tum se ki fitno’n kee binaa tum ho

khudaa bakhshe vah meraa shauq mein ghabraakar kah denaa
’’kisee ke naa-khudaa honge magar mere khudaa tum ho’’

tum apne dil mein khud socho hamaaraa munh na khulvaao
hamein maaloom hai, ’’sarshaar’’ jitne paarsaa tum ho

Popularity: 7% [?]

Mujhe Apny Zabt Pey Naz Tah, Sar-E-Bazam Raat Ye Kia Hoa
Mery Ankh Keyse Chalakh Pary, Mujhe Ranj Hai Ye Bora Hoa

Mery Zindagi Ke Charagh Ka, Ye Mizaj Koi Nahi Naeya
Kabhi Roshni Kabhi Tergi, Na Jala Hoa Na Bujha Hoa

Mujhe Aap Kuen Na Samjh Saky, Ye Apny Dil Sey Hi Pocheye
Mery Dastan-E-Heyat Ka, Hai Warq Warq Khula Hoa

Abhi Abhi Mery Pass Sey, Jo Nazar Bacha Key Guzar Gaye
Ye Mery Shahar Key Loog Han, Mery Ghar Sey Ghar Mila Hoa

Mujhe Jo Bhi Dushman-E-Jan Mila,Wohi Pukhta Kar-E-Jafa Mila
Na Kisi Ke Choot Ghalat Pary, Na Kisi Ka War Kahta Hoa

Mujhe Ham Safar Bhi Mila Koi, Tu Mery Tarha Hi Luta Hoa
Kabhi Manziloon Se Hata Hoa, Kabhi Qafiloon Sey Luta Hoa

Mujhe Ik Gali Men Para Hoa, Kisi Bad Naseeb Ka Khath Mila
Kaheen Khoon-E-Dil Sey Likha Hoa, Kaheen Ansoon Sey Mita Hoa

Hameen To Ye Bhi Haq Nahi, Ke Shareq Bazam Kohlos Hon
Na Cehry Pey Apny Naqab Hai, Na Kuch Asteen Men Chupha Hoa

Popularity: 8% [?]

Uss sai milnay ko kabhi hum jo machal jatay hain
Tou khayalon mai bohat door nikal jatay hain

Gar waffaon mein sadaqat bhi ho shidatt bhi
Phir to ehsas sai pather bhi pighal jatay hain

Usski ankhon kai nashay mein hoon jab sai dooba
Lar-kharatay hain qadam aur sambhal jatay hain

Be-waffae ka jab bhi mujhay khayal aata hai
Ashq ankhon sai rukhsar pai pighal jatay hain

Payar mein aik hi mosam hai baharon ka Faraz
Log mosam ki terah kaisay badal jatay hain ??????

Popularity: 7% [?]

Tum Aisa Kerna keh koe Jugno koe Sitara Sambhal Rakhna …………..
Mery Andheroo’n ki Fikr Chhoroo Bus apnay Ghar ka Khayal Rakhna
Ujjar Mausam may rayt Dherti pay Fasl Boe Thi Chandni ki ………….
Ab Us may Ugnay lagay Andheray tu kaisa Ji may Malal Rakhna…..

Popularity: 7% [?]

Meri aankhon k samandar main jalan kaisi hai
aaj phir dil ko tarapne ki lagan kaisi hai
ab kisi chhat pe charaghon ki roshni bhi nahin
ab tere sheher ki galiyon main ghhutan kaisi hai
barf k roop main dhal jaaenge saare rishte
mujh se pouchho k mohobbat ki agan kaisi hai
main tere wasal ki khuwahish ko naa marne dunga
mosam_e_hijr k lehje main thakan kaisi hai
regzaaron main jo bunti rahi kaanton ki rida
usski majboor si aankhon main kiran kaisi hai
mujhe maasoom si larki pe taras aata hai
usse dekho tau mohobbat main magan kaisi hai

Popularity: 7% [?]

baad_baa.N khulane se pahale kaa ishaaraa dekhanaa
mai.n samandar dekhatii huu.N tum kinaaraa dekhanaa

yuu.N bichha.Danaa bhii bahut aasaa.N na thaa us se magar
jaate jaate us kaa vo mu.D ke dubaaraa dekhanaa

kis shabaahat ko liye aayaa hai daravaaze pe chaa.Nd
ai shab-e-hijraa.N zaraa apanaa sitaaraa dekhanaa

aa_iine kii aa.Nkh hii kuchh kam na thii mere liye
jaane ab kyaa kyaa dikhaayegaa tumhaaraa dekhanaa

Popularity: 7% [?]

beetay dinon k dasht se aati sada hoon main
ujrray gharon main ghoomti pagal hawa hoon main

hoon to tere jism ka saya hi kia hua
bas zindagi ki sham talak hi juda hoon main

kia jaanay kab bigaarr de ye sar phiri hawa
beeti hui bahaar ka ik naqsh e paa hoon main

yoon to mere bhi rang hain kuch an ginat magar
har ik ko aik rang nazar aaraha hoon main

jaanay wo aik lamha bhi kia kia badal gaya
kiun baar baar apni taraf dekhta hoon main

ik din teri talaash ki manzil bhi aay gi
ab tak to apne aapko hi ddhoonddta hoon main

lipttay hon jaise "SHAM" ki chaadar main baam o dar
kuch yoon tere khayal main ddooba hua hoon main

Popularity: 7% [?]

Gungunatay Hue Anchal Ki Hawa Deh Mujh Ko
Ungliyaan phair Ke BAloon Main Sunlla Deh Mujh Ko

Jis Tarah Faltu Guldaan Paray Rehtay Hain
Apne Ghar Ke Kisi Konay Se Lagga Deh Mujh Ko

Yaad Kar Ke Mujhe Takleef He Hoti Hogii
Aik Kissa Hoon Purana Sa Bhulla Deh Mujh Ko

Doobtay Doobtay Awaaz Teri Sunn Jaoon
Akhiri Baar Tu Sahil Se Sadah Deh Mujh Ko

Main Tere Hijr Main Chup Chaap Na Marr Jaoon Kahin
Main Hoon Saktay Main Kabhii Aa Ke Rulla Deh Mujh Ko

Dekh Main Hogaya Badnaam Kitaboon Ki Tarah
Merii Tasheer Na Kar Ab Tu Jalla Deh Mujh Ko

Rhootna Tera Meri Jaan Liye Jata Hai
Aesay Naraaz Na Ho Hanse Ke Dekha Deh Mujh Ko

Aur Kuch Bhi Nahi Manga Mere Malik Tujh Se
Us Ki Galiyoon Main Parii Khaak Banaa Deh Mujh Ko

Log Kehtay Hain Ke Yeh Ishq Niggal Jata Hai
Main Bhi Is Ishq Main Aya Hoon,Dua Deh Mujhe Ko

Yahi Okaat Hai Meri Tere Jeevan Mein Ke Main
Koi Kamzoor Sa Lamha Hoon, Bhulla Deh Mujh Ko

Popularity: 7% [?]

uttahaay khama-e-hastiesaraboun mein bhatakta tha
marie manzil ne khud otah ke dekahya raasta muj ko

koi suraj tallu hotay mujeh tu kia dekahay ga
andaharay ghar ki chaat per hi koi jugnu dekhaa muj ko

raqm thi dil ki shakhoun per wafa tahreer ki surat
metaata apnay haathoun se magar tu deahkata muj ko

koi shureeda sar Tasneem is bastie se nikla tha
woh marie zaat ke sahra mein ik din mil gaya muj ko

Popularity: 6% [?]

Mobile Talks Free sms (beta)



Recent Comments



Recent Posts


Recent Comments