A selection of lovely poetry , romantic poetry , cute poetry, sweet poetic & friendly poetry and texts. To share with close friends & loved ones. Send good morning loves quote, love sms jokes, love poems sms, hate u sms to your soul mates.

Archive for the ‘Urdu Shairy’ Category


uttahaay khama-e-hastiesaraboun mein bhatakta tha
marie manzil ne khud otah ke dekahya raasta muj ko

koi suraj tallu hotay mujeh tu kia dekahay ga
andaharay ghar ki chaat per hi koi jugnu dekhaa muj ko

raqm thi dil ki shakhoun per wafa tahreer ki surat
metaata apnay haathoun se magar tu deahkata muj ko

koi shureeda sar Tasneem is bastie se nikla tha
woh marie zaat ke sahra mein ik din mil gaya muj ko

Popularity: 6% [?]

uttahaay khama-e-hastie saraboun mein bhatakta tha
marie manzil ne khud otah ke dekahya raasta muj ko

koi suraj tallu hotay mujeh tu kia dekahay ga
andaharay ghar ki chaat per hi koi jugnu dekhaa muj ko

raqm thi dil ki shakhoun per wafa tahreer ki surat
metaata apnay haathoun se magar tu deahkata muj ko

koi shureeda sar Tasneem is bastie se nikla tha
woh marie zaat ke sahra mein ik din mil gaya muj ko

Popularity: 6% [?]

Jhuki Jhuki Si Nazar
jhukii jhukii sii nazar beqaraar hai ki nahii.n
jhukii jhukii sii nazar beqaraar hai ki nahii.n
dabaa dabaa saa sahii dil me.n pyaar hai ki nahii.n

tuu apane dil kii javaa.N dha.Dakano.n ko gin ke bataa
merii tarah teraa dil beqaraar hai ki nahii.n

vo pal ke jis me.n muhabbat javaan hotii hai
us ek pal kaa tujhe i.ntazaar hai ki nahii.n

terii ummiid pe Thukaraa rahaa huu.N duniyaa ko
tujhe bhii apane pe ye aitabaar hai ki nahii.n

Popularity: 5% [?]

Kitna dard hai chupa iss dil main
kitni ahey hain in sansoon main
kitney ansoo hain rakhye ankhon main
kitni tarap hai meri ahoon main

Tum kabhe nahi samjh sakoo gey

mery karb main guzri raton ko
un lamho ki yadoon ko
jo na ki kabhe main ney woh sabhe
baton aur wadoo ko

Tum kabhe nahi samjh sakoo gey

dil ka tootna kiya hota hai
kisi ka bicharna kiya hota hia
kabhe milker bhe na mila kiya hota hai
tanhai ka ghum kiya hota hia

Tum kabhe nahi samajh paoogeyTanha rehna kiya hota hia
khuch paker khona kiya hota hia
naam palko ka anso kiya hota hia

Tum kabhe nahi samajh paoogey…

Sahil ki na main han hota hia
Uss ki dharkan ka rukna kiya hota hia
Kisi ka pehla piyar kiya hota hia

Tum kabhe nahi samjh paogey…..

Mouflisi ka rona kiya hota hia
dard ka sehna kiya hota hai
khamosh rehna kiya hota hai…….

Tum kabhe nahe samajh paogey…..

Popularity: 5% [?]

Tum itanaa jo muskuraa rahe ho
kyaa Gam hai jisako chhupaa rahe ho
tum itanaa…

aa.Nkho.n me.n namii ha.Nsii labo.n par
kyaa haal hai kyaa dikhaa rahe ho
kyaa Gam hai…

ban jaaye.nge zahar piite piite
ye ashq jo piite jaa rahe ho
kyaa Gam hai…

waqt jin zakhmo.N ko bhar chalaa hai
tum kyo.N u.Nhai.N chhede jaa rahe ho
kyaa Gam hai…

rekhaao.n kaa khel hai muqaddar
rekhaao.n se maat khaa rahe ho

Popularity: 5% [?]

ye daulat bhii le lo, ye shoharat bhii le lo
bhale chhiin lo mujhase merii javaanii
magar mujhako lauTaa do bachapan kaa saavan
vo kaagaz kii kashtii, vo baarish kaa paanii

muhalle kii sabase nishaanii puraanii
vo bu.Dhiyaa jise bachche kahate the naanii
vo naanii kii baato.n me.n pariyo.n kaa Deraa
vo chahare kii jhuri.ryo.n me.n sadiyo.n kaa pheraa
bhulaae nahii.n bhuul sakataa hai koI
vo chhoTii sii raate.n vo lambii kahaanii

ka.Dii dhuup me.n apane ghar se nikalanaa
vo chi.Diyaa vo bulabul vo titalii paka.Danaa
vo gu.Diyaa kii shaadii me.n la.Danaa jhaga.Danaa
vo jhuulo.n se giranaa vo gir ke sambhalanaa
vo piital ke chhallo.n ke pyaare se tohafe
vo TuuTii huI chuu.Diyo.n kii nishaanii

kabhii ret ke U.Nche Tiilo.n pe jaanaa
gharau.nde banaanaa banaake miTaanaa
vo maasuum chahat kii tasviir apanii
vo Kvaabo.n khilauno.n kii jaagiir apanii
na duniyaa kaa Gam thaa na rishto.n ke ba.ndhan
ba.Dii khuubasuurat thii vo zi.ndagaanii

Popularity: 5% [?]

yahaa.N se ab kahii.n le chal Khayaal-e-yaar mujhey
chaman me.n raas na aayegii ye bahaar mujhey

terii latiif nigaaho.n kii Khaas jumbish ne
banaa diyaa terii fitarat kaa raazadaar mujhey

merii hayaat kaa a.njaam aur kuchh hotaa
jo aap kehtey kabhii apnaa jaa.N-nisaar mujhey

badal diyaa hai nigaaho.n ne ruKh zamaane kaa
kabhii rahaa hai zamaane pe iKhtiyaar mujhey

ye haadasaat jo hai.n iztaraab kaa paiGaam
ye haadasaat hii aaye.ngey saazagaar mujhey

Popularity: 5% [?]

Hans Ke Bola Karo Bulaaya Karo

hans ke bola karo bulaaya karo
aap ka ghar hai aaya jaaya karo

muskurahat hai husn ka zevar
roop barhta hai muskuraaya karo

had se bar kar haseen lagate ho
jhoothi qasmein zaroor khaaya karo

hukm karna bhi ek sakhaavat hai
ham ko Khidamat ko_ii bataaya karo

baat karna bhi baadashaahat hai
baat karna na bhool jaaya karo

ta ke duniya ki dil_kashi na ghate
nit naye pairahan mein aaya karo

kitane saada mizaaj ho tum ’Adam’
us gali mein bahut na jaaya karo

Popularity: 5% [?]

" RISHTA "
KABHI SOUCHA HAI?Hamare rishte ka naam kia hai??DOSTI
MUHABBATZARORAT
KHUAWHISHJUNOONISHQyaa
Woh Rishta jo ASMAAN ka ZAMEEN se hai’BARISH ka SEHRA se hai,HAQEEQAT ka KHUABOON se haiDIN ka RAAT se hai?yeh kabhi aik dosre se mil nahi patay…..laikin ek dosre k bagair reh bhi nahi sakte….Haan aisa hi kuch "RISHTA" mera tumse haiSirf tumse hai !!!!!!!!

Popularity: 5% [?]

Kuch ishq tha,kuch majbori thi so main ne jewan haar diya
main kaisa zinda aadmi tha ek shaks ne mujhko maar diya

ek sabz shaakh gulaab ki thi ek duniya apnay khawaab ki thi
wo ek bahaar joaae nahi us k liye sub kuch haar diya

ye saja sajaya ghar saathi meri zaat nahi mera haal nahi
aay kaash kabhi tum jaan sako jo us sukh ne aazaar diya

main kholi hoe ek sachchai mujhay jaannay walay jaantay hain
main ne kin logon se nafrat ki aur kin logon se piyaar kia

wo ishq bohat mushkil tha magar aasan na tha u jena bhe
es ishq ne zinda rehnay ka mujhay dars diya pindaar diya

Popularity: 5% [?]

Mobile Talks Free sms (beta)



Recent Comments



Recent Posts


Recent Comments