A selection of lovely poetry , romantic poetry , cute poetry, sweet poetic & friendly poetry and texts. To share with close friends & loved ones. Send good morning loves quote, love sms jokes, love poems sms, hate u sms to your soul mates.
kahan aa kar rukay thay rastay..kahan mour thaa ussay bhool ja
woh jo mil ghaya ussay yaad rakh, jo nahin mila ussay bhool ja
woh teray naseeb ki barish kisi aur chhat pay baras ghaee
dil-e-baykhabr mere baat sun ,ussay bhool ja ussay bhool ja
main tou gum thaa teray dhiyaan main,tere aas main teray ghuman main
saba keh ghaee meray kaan main ,meray paas aa ussay bhool ja..
kisi ankh main nahin aske-eghum,teray baad nahin kuch bhee kam
tujhay zindaghee nai bhula diya,tu bhee muskara, usaay bhool ja…..
na woh ankh he tere ankh thee, na woh khawab he tera khawab thaa
dil-e-muntazir tou yeh kis liyay,tera jaghna ussay bhool ja..
yeh jo din raat ka hai khial sa,ussay daikh ,us pay yakeen na kar
nahin aks koi bhee mustakil,sar- e-ainaussay bhool ja…
jo bisat-e-jaan he ulat gaya,woh jo rastay say he palat gaya
ussay roknay say hasool kiya,usay mat nila, ussay bhool ja
ussay bhool ja
Popularity: 5% [?]
WO chehra sath sath raha jo mila nahi
Kis ko talash karte rahe kuch pata nahi
SHidat ki dhoop tez hawaoon k bawajood
Mai Shakh se gira ho,nazar se gira nahi
Akher ghazal ka taj mehal bhi hai maqbara
Hum zindagi the hum ko kisi ne jiya nahi
Jis ki muqalifat hui mashoor hogaya
In patharon se koi parinda gira nahi
Tareekion mai or chamakti hai dil ki dhoop
Sooraj tamam raat yahan doobta nahi
Kis ne jalayen bastian,bazaar kyun loote
Mai Chand par gaya tha mujhey kuch pata nahi….
Popularity: 5% [?]
Teri jannat se hijrat karte rahe
Farishtey kia bagawat karte rahe
Hum apne jurm ka iqrar karle
bauht dinu se ye himat kar rahe hain
Wo khud hare hue hain zindagi se
Jo dunya per hukoomat kar rahe hain
Zameen bhege hui hai AAnsoo se
Yahan Badal ibadat kar rahe hain
FIza mai ayaten mehki hui hain
KAhen bache tilawat kar rahe hain
Hamari babasi ki inteha hai
K zulm ki himayat kar rahe hain
PArindo k zameen-o-asman kia
Watan mai reh k hijrat kar rahe hain
Ghazal ki AAg mai palkoon k saye
Muhabbat ki hifazat kar rahe hain
Mai apne bahion se mukhtalif hoo
Wo mausam ki shikayat kar rahe hain!!!!!!!
Popularity: 4% [?]
Dil ki chokhat pe jo ik deep jala rakha hai
tere lout ane ka amkhan saja rakha hai
saans tak bhi nahin layte hain tujhe sochte waqt
ham ne is kam ko bhi kal pe utha rakha hai
rooth jate ho tu kuch aur haseen lagte ho
ham ne ye soch ke hi tum ko khafa rakha hai
tum jisse rota hya chor gay thay ik din
ham ne is shaam ko seenay se laga rakha hai
chain layne nahin dayta ye kisi tor mujhay
teri yadon ne jo tofaan utha rakha hai
jane wale ne kaha tha ke wo lotay ga zaroor
ik issi aas pe darwaza khula rakha hai
tere jane se jo ik dhool uthi thi gam ki
ham ne is dhool ko ankhon main bassa rakha hai
mujh ko kal shaam se wo yaad bohat ane laga
dil ne muddat se jo ek shaks bhula rakha hai
akhri bar jo aya tha mere naam wasi
main ne us khaat ko kalaije se laga rakha hai..!!~
Popularity: 5% [?]
Popularity: 4% [?]
faasalaa to hai magar ko_ii faasalaa nahii.n
mujhseY tum judaa sahii dil se to judaa nahii.n
aasmaa.N ki fikr kyaa aasmaa.N Khafaa sahii
aap ye bataa_iiye aap to Khafaa nahii.n
kashtiyaa.N nahii.n to kyaa hausaley to paas hai.n
keh do naa Khudaao.n se, tum ko_ii Khudaa nahii.n
liijiye bulaa liyaa aap ko Khayaal me.n
ab to dekhiye hame.n ko_ii dekhataa nahii.n
aa_iiyye chiraaG-e-dil aaj hii jalaaye.N hain
kaisii kal havaa chale ko_ii jaanataa nahii.n
Popularity: 4% [?]
Ab kisi chahat pe charagon ki qatarein bhi nahin…
Ab tere shehar ki galiyon mein ghutan kaisi hai…
baraf ke roop mein dhal jayeinge sare rishtey…
mujh se poochho muhabbat ki Agan kaisi hai…
mein tere wisaal ki khuwahish ko na marne doonga…
mausam-e-hijar ke lehje mein thakan kaisi hai…
rehguzaron mein jo banti rahi kaanton ki rida…
us ki majboor si aankhon mein kiran kaisi hai…
Mujhe Masoom si Pagal Larki Pay Taras aata hai
usey dekho to muhabbat mein magan kaisi hai…
Popularity: 5% [?]
Popularity: 4% [?]
Teri arzoo karoun aur phir
tera khayal tak bhulla doun main
Tujh ko khuwaboun main apney bula kar
apni raatein sabhi jala doun main
Teri manzil ko guloun sey saja kar
rah main kaantey bicha doun main
Ya teri zeest ka har ik pehloo
bhooli hui dastaan bana doun main
Tu jo chahey ussey main pa loun
tu jo paa ley ussey mita doun main
Ya tujhey iss tarhaan sey chahoun key
tujh ko teri nazroun main hi gira doun main…
Popularity: 4% [?]
Jab yaad ka album kholun to kuch log bohat yaad aatay hain,
Main apna bachpan sochun to kuch log bohat yaad aatay hain,
Abb janay kis nagri mein jaa k abaad hain muddat say,
Main raat gaye tak jagun to kuch log bohat yaad aatay hain
Kuch baatain thi phoolon jaisi kuch lehjay khushboo jaisay thay,
Main sehr-e-chaman mein tehloon to kuch log bohat yaad aatay hain,
Woh pal bhar ki narazgi aur maan bhi jana pal bhar mein,
Abb khud say jab bhi roothoon to kuch log bohat yaad aatay hain…
Popularity: 4% [?]