Hai ab bhi shola-o-rukhsaar yaar aankhon mai
Isee sabab sey hai utraa bukhaar aankhon mai

Yeh doke chaar nazar aa rahe hain ab mujh ko
Tumhari chaye ka aaya khumaar aankhon mai

Shareef kitna hoon mai tum se maar kha ker bhi
Abhee talak hai wahee inkisaar aakhon mai

Kabhi jo lee thee kiraye pe chhin gayee mujh se
Mai jail mai hoon magar hai wo car aankhon mai

Jhadap aseeron se aur chakki peesna din raat
Basey huye hain wo lail-onahaar aankhon mai

Jo dekha haath mai kafgeer saas ke hum ney
To ashk aa gaye beikhtiyaar aankhon mai

Wo naar jis ne liye thay anaar hum se udhaar
Basa gayee hai naya ik udhaar aankhon mai

Pitay police se qataaron mai jab shakar ke liye
To ashk aa gaye zaaro qataar aankhon mai

Laga hai talkh jo Aasi ka sach to us but ney
Kabaab god mai phenkey achaar aankhon maia

Popularity: 1% [?]