Mera tamam fann meri kawish mera riyaaz
ek natamam geet ke misre hain jinke beech
maani ka rabt hai na kisi qafiye ka mel
anjaam jiska tay na ho, ho ek aisa khel
meri mataaa bas yahi jadoo hai ishq ka
seekha hai jisko maine badi mushkilon ke saath
lekin ye sehar-e-ishq ka tohfaa ajeeb hai
khulta nahi hai kuchh bhi ke haqeeqat me kya hai yeh
taqdeer ki ataa hai ya koi sazaa hai yeh
kisse kahen e jaan ke yeh qissa ajeeb hai
kehne ko yun to ishq ka jadoo hai mere paas
par mere dil ke waste itna hai iska bojh
seene se ek pahaad sa hatta nahi hai teh
lekin asarr ke baab me halka hai is qadar
tujh par agar chalaun to chalta nahi hai yeh

Popularity: 21% [?]