milawat ka idhar dhanda jo pehle tha woh aaj bhi hai
zawabit ka idhar phanda jo pehle tha woh aaj bhi hai

agarche har muhalle mein hai masjid qaim daim
magar tameer ka chanda jo pehle tha woh aaj bhi hai

muhazab sari dunya ho gaii taleem tuflaa’n mein
yahan ustad ka danda jo pehle tha woh aaj bhi hai

tamanna car, kothi ho to kar khidmat smuggler ki
bara ye kaargar banda jo pehle tha woh aaj bhi hai

urrate phir rahe hein gulcharey har soo nazar waley
choraahe mein khara andha jo pehle tha woh aaj bhi hai

khudawand farishton ki to bas chandi hi chandi hai
azal se muztarib banda jo pehle tha woh aaj bhi hai

bitha kar god mein apni kaha mujnoo ki mummy ne
nira pagal mera chanda jo pehle tha woh aaj bhi hai

bazahir aashqi ke sab syllabus parh liye ham ne
nateeje mein wohi anda jo pehle tha woh aaj bhi hai

musalsal jang ke badal mussalat hote rehte hein
magar UN ka agenda jo pehle tha woh aaj bhi hai…

Popularity: 1% [?]