A selection of lovely poetry , romantic poetry , cute poetry, sweet poetic & friendly poetry and texts. To share with close friends & loved ones. Send good morning loves quote, love sms jokes, love poems sms, hate u sms to your soul mates.
kabhii kahaa na kisii se tere fasaane ko
na jaane kaise Khabar ho ga_ii zamaane ko
chaman me.n barq nahii.n chho.Datii kisii suurat
tarah tarah se banaataa huu.N aashiyaane ko
sunaa hai Gair kii mahafil me.n tum na jaaoge
kaho to aaj sajaa luu.N Gariib-Khaane ko
duaa bahaar kii maa.Ngii to itane phuul khile
kahii.n jagah na milii mere aashiyaane ko
chaman me.n jaanaa to sayyaad dekh kar jaanaa
akelaa chho.D kar aayaa huu.N aashiyaane ko
merii lahad pe pata.ngo.n kaa Khuu.N hotaa hai
huzuur shammaa na laayaa kare.n jalaane ko
dabaa ke chal diye sab qabr me.n duaa na salaam
zaraa sii der me.n kyaa ho gayaa zamaane ko
ab aage is me.n tumhaaraa bhii naam aayegaa
jo hukm ho to yahii.n chho.D duu.N fasaane ko
’Qamar’ zaraa bhii nahii.n tujhako Khauf-e-rusavaa_ii
chale ho chaa.Ndanii shab me.n u.nhe.n manaane ko
Popularity: 1% [?]
Apne ashkon ko khud se chupaa kar rona,
Jub bhi rona chiraaghon ko bhujaa kar rona,
Loag perh lete hain chehre pe likhi tehreerain,
Kitna mushkil hah logon se chupaa kar rona,
Apni barbaadi ka hum khud sabab hain yaaro,
Ab kis se gilaa karain kis ko sunaa kar rona,
Woh tanhaayi main bohat roya tha NAASIR,
Main ne chaaha tha jise seenay se
Popularity: 1% [?]
Tere Ghum Ko Jaa’n Ki Talassh Thi Tere Jaa’n-Nisaar Chalay Gaey
Teri Rah May Kerty Thy Sir Talab , Sir-e-Rahguzar Chalay Gaey
Teri Kaj-Aadae Say Haar Kay Shub-e-IntiZaar Chali Gai
Mere Zabt-e-Haal Say Rooth Ker Mere Ghum Gusaar Chalay Gaey
Na Sawal-e-Wasal, Na Arz-e-Ghum, Na Haakayatain Na Shikayatain
Tere Ahad May Dil-e-Zaar K Sabhi Ikhtiyaar Chalay Gaey
Ye Hami’n Thy Jin K Libaas Per Sir-e-Rah Siyahi Likhi Gai
Yahi Daag Thy Jo Saja K Hum Sir-e-Bazm Yaar Chalay Gaey
Na Raha Janoon-e-Rukh-e-Wafa, Ye Rasn Ye Dar Kro Gay Kiya!
Jinhay Jurm-e-Ishq Pey Naaz Tha Woh Gunahgaar Chalay Gaey
Popularity: 1% [?]
Popularity: 1% [?]
Popularity: 1% [?]
Main Nay Roka Bhi Nahi Aur Woh Tahraa Bhi Nahi
Haadsa Kiya Tha Jissay Dil Nay Bhulaya Bhi Nahi
Janay WalOon Ko Kahan Rook Saka Hy Koi
Tum Chalay Ho Tou Koi Roknay Wala Bhi Nahi
Door-o-Nazdeek Say Uthta Nahi Shoor-e-Zanjeer
Aur Sahraa May Koi Naqsh Kaf-e-Paa Bhi Nahi
Be niyazi Say Sabhi Qaryaa Jaa’n Say Guzray
Daikhta Koi Nahi Hy K Tamashaa Bhi Nahi
Woh Tou SadiYoon Ka Safer Ker K Yahan Puhancha Hay
Too Nay Moun Phiar K Jis Shakhs Ko Daikha Bhi Nahi
Kis Ko Nairangii Ayaam Ki Sorat Dikhlaain
Rung Urrtaa Bhi Nahi Naqash Taherta Bhi Nahi
Popularity: 1% [?]
Rasm-omehar wafa ki baat karen
Phir kisi dilruba ki baat kare
Sakht begana-e-hayat hai dil
Ao is Ashna ki baat karen
Zulf-o-khisar k tasawur mai
Husn-o-naz-oada ki baat karen
GEsuon k fasaney dohrayen
Apne bakht-e-rasa ki baat kare
Maddaye wafa kise maloom!
Dil be madda ki baat karen
Kashti rol ka nakhuda dil hai
Kyun kisi na khuda ki baat karen
Bhool jayen jahan k joru sitam
Apni mehar-o-wafa ki baat karen
Humse Azrawah hai Tabassum dost
Isi husn-e-ada ki baat karen…………………….
Popularity: 1% [?]
Bazi-a-Ishq Kuch Is Tarhaa Se Haare Yaro
Zakham Pe Zakham Lage Dil Pe Hamaare Yaro
Koi To Aisa Ho Jo Ghaao Pe Marham Rakhe
Yoon To Dushman Na Bano Saare Ke Saare Yaro
Bazm Mein Sar Ko Jhukaaiy Huay Jo Bethe Hain
Un Ko Mat Chero Yeh Hain Ishq Ke Maare Yaro
Jin Mein Hotay Thay Kabhi Meher-O-Wafaa Ke Moti
Un Hi Aankhon Mein Sitam Ke Hain Sharaare Yaro
Sang Garon Ne Jo Maare To Koi Dukha Na Hua
Mar Gaiy Tum Ne Magar Phool Jo Maare Yaro
Wo Jo Raha Dil Geer Tumhaari Khatir
Tum Ne Kya Kya Nahin Taane Usay Maare Yaro
Popularity: 1% [?]
Kahan ake rukne the raaste kahan mod tha use bhool jaa
jo mil gaya ise yaad rakh jo nahi mila use bhool jaa
woh tere naseeb ki barishen kisi aur chhat pe baras gayin
dil-e-bekhabar meri baat sun use bhool ja use bhool jaa
mai to gum tha tere hi dhyaan me teri aas tere gumaan me
hawa keh gayi mere kaan me, mere saath aa use bhool jaa
Kisi ankh me nahi ashk-e-gham, tere baad kuchh bhi nahi hai kam
tujhe zindigi ne bhula diya tu bhi muskura use bhool jaa
na woh ankh hi teri ankh thi na woh khwab hi tera khwab tha
dil-e-muntazir to ye kis liye tera jagna use bhool jaa
yeh jo raat din ka hai khel sa ise dekh is par yaqeen kar
nahi akss koi bhi mustaqil sare ayinaa use bhool jaa
jo bisaate jaan hi ulatt gaya woh jo raaste se palat gaya
use rokne se husool kya use mat bula use bhool jaa
yeh jo agahi ka saraab hai yahi sabse badh kar azaab hai
yeh samajh woh aks-e-khayaltha koi khwaab tha use bhool jaa
to yeh kis liye shabe hijr ke use har sitaare me dekhna
woh falak ke jispe mile the hum koi aur tha use bhool jaa
kyon ataa hua hai ghubaar me ghame zindigi ke fashaar me
woh jo darj tha tere bakht me so woh ho gaya use bhool jaa
tujhe chand ban ke mila tha jo tere sahilo pe khila tha jo
woh tha ek dariya wasaal ka so utar gaya use bhool jaa
Popularity: 2% [?]
koi nahi jo daman-e-ehsaas chhoo sake
veeran jangalon ki hawaa ho gaye hain hum
duniya ne jaane kitne fasaane bana liye
itna koi bataye ke kyaa ho gaye hain hum
zindaa hain phir bhi maut ka sayaa hai rooh par
beete huye dino ki sadaa ho gaye hain hum
kandho pe apne apna janazaa liye huye
majboor hasraton ki duaa ho gaye hain hum
Popularity: 1% [?]