A selection of lovely poetry , romantic poetry , cute poetry, sweet poetic & friendly poetry and texts. To share with close friends & loved ones. Send good morning loves quote, love sms jokes, love poems sms, hate u sms to your soul mates.
kabh Se Boot Kiye Bhaitha Hoon,
Pc Apnay Pyaar Ka.
Kaisay Type Karoon Mein Lakin,
Password Izhar Ka.
Dil Ki Charoun Drives Mein Mainay,
Janna Tujh Ko Search Kia.
Yahoo,yahoo,google,g oogle,
Kitna Paisa Kharch Kia.
Tere Chahray Pe Ghussay Ka,
Screensaver Jub Aata Hai.
Meray Chehray Ka Display Tabh,
Geryscale Ho Jata Hai.
Jinke Links Abh Toot Chuke Hain (ex-boy Friends)
Shortcuts Wo Wipe Karo,
Apnay Dil Ki Mail Box Mein,
Mera Address Type Karo.
Chahatoon Hai Teray Pyar Ki Site,
Raat-din Mein Hack Karoon.
Pattar-dil- Daddy Ka Teray,
Software Bhi Crack Karoon.
Buddha Ager Jo Maan Gaya Toh,
Hum Connect Ho Jaayenge.
Vsnl Ke Server Ki,
Phairay Phir Saat Lagaayenge.
Ginti K Bus Bachay Hain Baaqi,
Meray Jeewan Kay Yeh Pal.
Tu Jo Aa Ke Pyar Se Choo Lay,
Mil Gaye Ga Aur Ek Kal (oracle)
Popularity: 5% [?]
Hum nay Bhi Pyar Ka Computer Kiya tha Start
Par Ussi Time Achanak Ghar ki Bijli Gayi Bhag
Mana kay Hum Aap ko Password tu Bata Dein gay
Par yeh Batain Aap Username mein kiya Dalain gay
Mana hum jaisay Software Bazar mein Bikhtay hain
Par un ko Purchase Kartay waqt Pasinay kiyoon nikaltay hain
Mana kay hum tum ko Mouse ki tarah nachatay hain
Par saath mein Gattay ki chabi bhi chalatay hain [Key Board = Gattay ki Chabi]
Virus say Bachnay kay liye Anti virus Install karain
Aur Pyar ki batoon mein Chichorapan na karain
Tum Dil Ki Site tu Kabhi Khulti hi Nahi
Kiya Karoon aj kal Net use karti hi nahi
Koi bhi plan pehlay nahi bataya karo
Meray Walid .Sys File hain un ko delete na karo
Aap Dil kay Liye cut , copy, pasteki baat kartay hain
Hum tu Dil Ki Zip file hi bana liya kartay hain
Hamain Aap ka Dil Denay ka style Na pasand aya
Aur Hum nay Apnay Pyar kki Hardisk ko Format Par Lagaya
Popularity: 5% [?]
Ahat c koi aatee hai to lagta hai tum ho,
Hawa koi lehratee hai to lagta hai k tum ho
Ub tum he batao k kia tum kisee bhoot say kam ho
Popularity: 5% [?]
Aahat si koi aye to lagta hai ki tum ho.
Hawa koi lehrayi to lagta hai ki tum ho.
Ab tum hi batao, kya tum kisi BHOOT se kam ho ?
Maine poocha chand se…
Kabhi dekha hai mere yaar sa hasin…..
Chand bola…. 12036 entries found !
Arz kiya hai,
Door se dekha to santra tha,
pass jake dekha to santra tha,
cheel k dekha to bhi santra tha,
Kha ke dekha to bhi santra tha.
Wah kya santra tha !
Jise dil diya woh dilli chali gayi,
jise pyaar kiya woh chali gayi.
Khud kashi karne chala,
Zalim bijali ko haath lagaya, Bijali he chali gayi.
Macchar ne jo kata…
dil main mere junoon tha.
Khujli hui itni… dil be sukoon tha.
Pakra to chor diya yeh soch kar ki….
kambakht ki ragon main apna hi khoon tha!
Ikhtiyarre tabbasum ki lau ko tarranume numayish se aghaa dena…
Jo iska matlab samajh aaye to please mujhe bhi bata dena…..
Kash tumhare chere pe chicken-pox ke daag hote,
Kash tumhare chere pe chicken-pox ke daag hote,
chand to tum ho he, sitare bhi saath hote!!
Suraj Hua Madham ,
chand bhi chalne laga,
mein thehra raha, zamin chalne lagi,
sajna kya yehi pyaar hai ??
Nalayak, yeh pyar nahi EARTHQUAKE hai ! BHAAG !
Osama Bin Laden’s favourite song :
" mainnikla, plane leke, o raste mein, newyork mein, ik mod ayamein
W.T.C.
tod aaya… "
Jab Jab tum angdai lete ho dam hamara nikal jata hai.
Aye zalim Deodrant lagane me tumhara kya jata hai ?!
Itna khubsurat kaise muskura lete ho..
itna kaatil kaise sharma lete ho..
kitni aasani se JAAN le lete ho..
kisine sikhaya hai ya bachpan se hi stupid ho!!
unki gali se guzar rahe the kya ittefaq tha,
unki gali se guzar rahe the kya ittefaq tha,
unhoon ne phool phainka par gamla bhi saath tha !
Popularity: 5% [?]
YE BAAT SAMAJH MAIN AAI NAHI
Ye baat samajh main aai nahi, Aur Ammi ney samjhai nahi
Main kaisay meethi baat karoon? Jab meethi cheeji khai nahi
Aapi bhi pakaati hain Halwa, Woh aakhir kiyon ’Halwaai’ nahi?
Bhayya ki mangni ho gai kal, Kiyoon kal hi ’Dulhan’ mangwaai nahi?
Ye baat samajh main aai nahi
Naani ke miyaan jab Nana hain, Dadi ke miyaan jab Dada hain……
Tab Aapi se main ne poocha ..Baaji ke miyaan kiya ’Baaja’ hain?
Woh huns huns kar yoo kehnay lagi, A bhai nahi yeh bhai nahi
Ye baat samajh main aaai nahi
Jab naya maheena aata hay, Bijli ka bill aa jaata hay
Halaankey Baadal bechaara ye bijli mufft Lutata hay
Phir hum ne apnay ghar Bijli….Kiyoo Badal se lagwaai nahi?
Ye baat samajh main aai nahi
Gar Billi ’Shair’ ki khala hay?…phir hum ne ussay kiyoon pala hay?
Kiya ’Shair’ bohat nalaayak hay? Khala ko maar nikala hay?
Ya jungle ke Raja kay yahaan… kiya milti doodh malaai nahi?
Ye baat samajh main aai nahi
Kiyoon Lambay baal hain bhaalu ke ? Kiyoon uss ki tind karai nahi?
Kiya ’woh’ bhi Ganda bacha hay?.. ya uss ke Abbu,bhai nahi?
Yeh uss ka ’Hair Style’ hay?….. ya Jungle main koi Naai nahi?
Ye baat samajh main aai nahi,
Jo Taaray jagmag kartay hain, Kiya unn ki ’Chachi Taai’ nahi?
Ho ga koi rishta sooraj se? ye baat humain batlaai nahi
Per Chanda kaisa mamoo hay? jab ammi ka woh ’bhai’ nahi?
Ye baat samajh main aai nahi,
Ye baat samajh main aai nahi, Aur Ammi ne samjhaai nahi
Main kesay meethi baat karoon? jab meethi cheeji khai nahi /mast
/utho
Popularity: 5% [?]
yeh document, yeh meetings, yeh features ki duniya,
yeh insaan ke dushman, cursors ki duniya
yeh deadlines ke bhooke, management ki duniya;
yeh Product agar ban bhi jaaye to kya hai?
Yahaan ek khilona hai programmer ki hasti
ye basti hai murda bug-fixers ki basti
yahaan par to raises hai, inflation se sasti
yeh Review agar ho bhi jaaye to kya hai?
har ek keyboard ghayal, har ek login pyaasi
excel mein uljhan, winword mein udaasi
yeh office hai ya aalame microsoft ki
yeh Release agar ho bhi jaaye to kya hai?
jalaa do ise, phoonk daalo yeh monitor
mere saamne se hataa daalo yeh modem
tumhaara hai tumhi sambhaalo yeh computer
yeh Product agar chal bhi jaaye to kya hai?
Popularity: 4% [?]
BHAIZamane bher ki ruswai degai hey mujhe
Itni menhat ki ye kamai de gai hey mujhe
wo lafz jis se hota nahi kuch hasil
wahi ik lafs BHAAII De gai hey mujhe
Popularity: 4% [?]
1ST ASOUL PYAAR KAPYAAR KA 1ST ASOUL HAI KAY IS SAY PEHLAY KAY USSAY AAP SAY ACHA MILAY, AAP USS SE PEHLAY USS SAY ACHA DHOUND LOZULFAINAAPKI ZULFAIN HAIN GHUP ANDHERAHO JA GANJI KAR DAY SAWERAJOSHHHHALLAH ALLAH KYA JOSH HAI MERE DEEWANE MEIN HAIKAL ZAMANAT PE CHURWAYA AAJ THANE MEIN HAIPAISAAIS DUNIYA MEIN PAISA HI SAB KUCH NAHI HAIKIUN K AB MASTER CARD AND VISA AGAAYE HAINDUAAKUSH RAHE TU SADA YEH DUA HAI MERITERI PREMIKA HI JAYE BHABHI TERI
Popularity: 4% [?]
Suf Bandiyon Ka Vaqt Hay,—————-eeman Sanvariay
"musherraf" Ki Baat Maniay,———- "bush" Ko Pukariay
Sadyon Puranay Deen Ki ,————-tajdeed Ka Hay Vaqt
Aagay Barhain, Or Bhai Ki,—————– Gurden Utariay
Surahi Main Day Kay Mounh,kuch Ker Rahay Hain Shour
Kuch Day Rahain Hain Mashvara,—– Khud Ko Sanvariay
Kis Ko Yeh Fikr Hay Kay, ————–"vatan" Tera Kia Hoa
Sab Is Pay Lar Rahain Hain————— Kay Vardi Utariay
"quaid" Tera Shumar To, ————–zindon Main Ab Nahi
Murdah Zameer Qoum Ko, ————–ab Yoon Na Mariay!
Chara Bhi Ham Hoaiy, ———teray Shouq-e-shikaar Ka
Aaiay,—— Shikaar Khailnay, ———-kaisay Shikaariay
Manoos Hoaiy Jatay Hain,————- Barood Ki Boo Say
Aiy "burq" Khoshbooun Say Zara,——- Gher Sanvaria
Popularity: 4% [?]
neend mujhey raat bhar aati hai kam
shayad macharon ko bi mil gaya hai sanam
har pal mein sochta hon tum ko
kia karon koi aur kaam jo nehi hum ko
mein chahta hon tum koiss qadar
koi aur mil jaey tu dekhon naa mur kar
tujh bin zindagi ka tasawar hi nehi hai
tere sang ho zindagi aisa bi koi scene nehi hai
mohabbat hai mujh ko sirf tum sey sanam
sach keh raha hon mein tumhari qasam
jhot mein agar kahon tu, tu mar jaey
a kash mujh ko aishwarya mil jaey
iss dunya mein, tum he sab sey haseen ho
mein aur kahon jhot kitna, ke tum ko yaqeen ho
bas tere he sang jo meri zindagi
acha nehi ke mein kar lo khudhkoshi
rooz khawab mein nazar aatey ho tum
kio mujhey neend mein bi daratay ho tum
ab tu tere bin jeena ho gaya hai mushkil
haan ghar ke liye chahiye nokrani mustakil
dekho mujhey hai kitna pyar tum sey, ab tu haan karo
agar ab bi hai inkaar tu yeh letter agay pass karo
Popularity: 4% [?]