A selection of lovely poetry , romantic poetry , cute poetry, sweet poetic & friendly poetry and texts. To share with close friends & loved ones. Send good morning loves quote, love sms jokes, love poems sms, hate u sms to your soul mates.
Suraj Hua Madham
chand bhi chalne laga
Aasman yeh hai, kyun hilnay laga…
mein thehra raha, zamin chalne lagi
dharka yeh dil, saansey Thumney lagi….
Sajna kya Yehi P yaar Hai ???????
.
.
.
.
.
.
aray
.
.
.
.
nahin
Nalayak
.
.
.
.
.
.
yeh pyar nahi
.
.
.
.
.
.
EARTHQUAKE hai !
BHAAG…………
Popularity: 2% [?]
1)Ho Gayee Galti ….
Ho gayee galti hamsee click ho gaya mouse
dunya ki parwa chhodo ban jaoo meri spouse
tum see mila mein kal to mere dil mein hua ek sound ,
lekin ajj tum mili to kehta hai your file not found !
ab aur kaho na tum " But " ya " If " tum ho meri zindagi ki animated gif
aisa bhi nahi hai kee , I dont like your face
par dil kee computer mein nahi hai enough disk space !
ghar see nikalti ho tum jab pehan kee evening gown
too many request see ho jata hai server down
tumharee liyee pyaar ki application , creat mein karoonga
tum usse debug karna wait mein karoonga
tumhara intezaar karte karte mein so gaya !
yeh dekho mera connecting time out ho gaya….
2)Arz Kiya Hai…….
Abhi abhi pyaar ka PC kiya hai chaloo
apne dil ki hard disk pee aur kitni file daloo
apne chehre see ruwayee ka error to hatao
aa janeman apne dil ka password to bataoo
woh to hum hain jo app ki chahat dil mein rakhtee hain
warna app jaisee software to bazaar mein biktee hain
roz raat app mere sapnee mein aate ho
mere pyaar ka mouse ban kar ungliyoon pee nachatee hoo
tere pyaar ka email mere dil koo lubata hai
par beech mein tere baap ka virus aajataa hai
aur karvaoogee humse kitnaa intezar
hamaree dil ki site par kabhi enter to maroo
yaar apne insult kaa badlaa dekho kaisa loonga janeman
tere baap ko shift delete kar doonga
apkee nakree apne dil pe bang ho gayee
do PC jodtee jodtee hang ho gayee
app jaisoo kee liyee dil ko cut diya kartee hain
warna baak cases mein to copy paste kiya kartee hain
app ka hasna app ka chalnaa app ki woh style
app ki addaoo ki hamee save hai karni file…
Popularity: 2% [?]
Doob te ko tinkay ka sahara chahye
Shadi k liay behnon ka ek ishara chahye
Hazar nuks nikalti hain larke k chahre main
Koi pooche to un se kia sitara chahye??
Chaar shararon se baat nahi banne wali
Saath main to un ko ek khatara chahye
Behno! karo khayal kam hogaye hain baal
Warna kahen ge woh larka hamen karara chahye
Kitni bar kaha baaji larki hai yehi behter
Mughay bhi to aakhir gunahon ka kuffara chahye
Tum bhi sunlo larki walon yeh daastaaan
Phir na kehna hamen interview doobara chahye
Ab to reh guzar main aakay par gaya hoon
Le jao jis ko bhi yeh baaboo bichara chahye
Kyun dikhayi larki walon ki itni sharafat azfar
Woh kehte hain hamen larka thora aawara chahye
Popularity: 2% [?]
"motoo ke laboo par hai sadaa-e-motaapa
is fikar mein marte hain ke ghatt jae motaapa
jaata nahi ik baar jo aa jae motaapa
aur jae to motay ko bi le jae motaapa;)
har shakhs ko hota hai bura hae motaapa
dushman ko bi allah na dikhlae motaapa
sunte hain motaape ki dawaa hai yeh mujrab
fikr-o-gham-o-fakay ka hua insaan muqrab
motay to magar fikar se hotay hain muchrab
fakaa jo karein to jism ho aur kuch muhrabb
har shakhs ko hota hai bura hae motaapa
dushman ko bi allah na dikhlae motaapa
mota jo muhabbat ke kabhi phair mein ae
jaan de ke bi mehboob ko apne woh na pae
har chand yaqiin ishq ka woh usko dilae
mehboob magar ghosht ki dukaan mein na jae;)
har shakhs ko hota hai bura hae motaapa
dushman ko bi allah na dikhlae motaapa
patloon nahi tond pe tiknay ko hi tiyaar
har gaam pe kehti hai, hosiyaar! khabardaar!
us simt taangoo ki musalsal hai yeh takraar
hum muqbara bardosh kahaa tak rahein sarkaar?;)
har shakhs ko hota hai bura hae motaapa
dushman ko bi allah na dikhlae motaapa"
Popularity: 2% [?]
Raat daawat maiN sub hee thaa, par meeThaa naa thaa
Qourmay maiN haaN taar thaa, par shorbaa naa thaa
Woh laY gayaa thaa Burns Road kuch khilaanaY kay liYe
Sharbat tau thaa wahaaN laikin charghaa naa thaa
Woh chalaa aayaa mooNh uThaa kar Mehfil maiN yooN
peYr maiN jootaa tau thaa, par feetaa naa thaa
Kee ZulfaiN daraaz uss naY model bunn-naY kaY shoq maiN
Gel baaloN maiN thaa, pass magar kaNghaa naa thaa
Piyaas saY taRap kar maaNgaa jo paani ka ik glass
DiYaa uss nay mujh ko ik kaTora, par woh ThanDaa naa thaa
Aam kay Mosam maiN aam khaaiYe, seb kay mosam maiN seb
Phool detaY kaaNtay kay siwaa, aisaa apnaa dhandhaa naa thaa
Khaa kar jootiYaaN girls college kay baahir uss nay kuch yooN kahaa
"Qasam khudaa kee, MajnooN bhee mujh jaisaa aashiq naa thaa!"
Lay kar gayaa thaa jub girl friend ko woh date par
chawaani tau kiYaa, jeb maiN uss kee ik dhelaa naa thaa
Mehboobaa nay uss ki, choRnaY saY pehlaY uss ko yeh kahaa
Raho geY yaadoN maiN tum meri, uss kaY Qaabil woh ik bandaa naa thaa
"Masjid tau banaa dee shub bhar maiN, ImaaN kee haraarat waaloN naY"
Bill bharnaY kaY liYe Anwaar, pass magar unn kay chandaa naa thaa
Popularity: 2% [?]
Mera Ideal !
Gaal Par Ghaza Na Ho, Chehray Par Maskara Na Ho…
Dar-Haqeeqat Chand Ho, Masnooi Sayyara Na Ho…
Ba-Haya Ho, Ba-Wafa Ho, Saanwli Ho, Khair Hai…
Chat Se Kankar Maarti Ho, Aisi Fankara Na Ho….
Itni Shereen Bhi Na Ho, Ke Oh`Honey Kehna Paray…
Ho Zara Namkeen Ho, Lekin Namak Para Na Ho…
Mashriqi Tehzeeb Ka, Naadir Sa Ho Ek Shahkaar…
Magribi Tehzeeb Ka, Naayaab Fanpara Na Ho…
Shama-e-Mehfil Na Ho, Ho Chiraag-e-Aashiyaan…
So Kisi Bhi Ajnabi Ki Aankh Ka Taara Na Ho
Popularity: 2% [?]
Duniya Ko Ajab Rang Dikhati Hain Yeh Ladkiyaaan
Mardo Ko Hathon Pe Nachati Hain Ladkiyaan
Kapdo Ki Ik Daor (Race) Si Lagti Hai Jaise
Darziyon K Karobar Chalati Hain Ladkiyaan
Make Up K Bagair Yeh Mukammal Nahi Abb Tu
Chehre Pe Ik Chehra Charhati Hain Yeh Ladkiyaan
Kisi Takreeb Main Poocho Na Haal Tu Inka
Barh Charh Kar Numaiyeesh Karati Hain Yeh Ladkiyaan
Boorhiyon Ne Bhi Bana Rakha Hai Ik Ajab Tamasha
Baal Kata Kar Yeh Bhi Kehlati Hain Ladkiyaan
Bhoole Se Agar Kisi Ko Jo Kehdiya AMMA
Khandan Ki Tarikh Batati Hain Yeh Ladkiyaan
Duniyaa K Har Ik Mozu Pe Karleti Hain Batain
Bolne Main Kabhi Maar Na Khati Hain Ladkiyaan
Dekh Dekh Kar Ik Dosre Ko Hoti Hai JEALOUS
Tareef Kisi Ki Na Karpati Hain Ladkiyaan
Tamanna Yehi Rehti Hai K Ho Jaye Inki SHADHI
Rone Ka Phir Drama Rachati Hain Ladkiyaan
Choti Choti Baton Pe Ho Jati Hain Naraz
MAGAR MACH K Phir Ansoo Bahati Hain Ladkiyaan
Acting Karne Main Koi Saani Nahi Inka
Actors Ki Bhi Chutti Karati Hain Ladkiyaan
Din Raat Suna Kar Masail Ki Woh Bhar Maar
Mardo Ko Bhi Ganja Banati Hai Yeh Ladkiyaan
Ik Doje Se Bhi Bana Kar Rakhti Nahi Yeh Tu
Chugli Pe Chugliyaan Lagati Hain Ladkiyaan
Lag Jaye Koi Mazloom Agar In ke Haath
Joutoon Se Tawaza Farmati Hain Ladkiyaan
ZaR, Zan, Zameen Ka Jhagra Azal Se Hai Maujood
Mazloom ko Bhi Zalim Banati Hain Ladkiyaan
Rishte Dariyon Ko Bhi Khatam Karwa Deti Hain Yeh Tu
Phir Aag Kuch Aesi Barhkati Hain Ladkiyaan
Aey Faiz Bahut Nadan Hai Abhi Tu
NAKO CHANE BHI CHABWATI HAIN YEH LADKIYAAN..
Popularity: 2% [?]
Na Chemistry Hoti Na Love Hota
Na Chmistry hoti na main Student hota
Na ye Lab hoti Na Ye Accident Hota
Abhi Practical main ayee nazar Ek Larki
Sundar thi Naak Us ki Test Tube Jaisi
Baton main Us ki Glucose ki Mithas thi
Sanson main Ester ki Khushboo bhi sath thi
Aankhon se jhalakta tha kuch is Tarah ka Pyaar
Bin Piye hi ho jata hai Alcohol la Khumar
Benzene sa hota tha Uski Presence ka Ehsaas
Andhere main hota tha Radium ka Abhas
Nazrain mileen, reaction hua
Kuch is tarah Love ka Production hua
Lagne lage Us ke Ghar ke Chakkar aise
Nucleus ke charon taraf Electron hon jaise
Us din hamare Test ka Confirmation hua
Jab us ke daddy se hamara Introduction hua
Sun kar hamari baat wo aise Uchal pare
Ignesium Tube main jaise Sodium Bharak uthe
Wo bole, Hosh main aao, Pahchano apni Auqat
Iron mil nahin sakta kabhi Gold ke saath
Ye sun ker Tuta hamare Armanon Bhara Beaker
Aur ham Chup rahe Benzaldehyde ka Karwa Ghoont pee ker
Ab us ki yadon ke siwa hamara Kam chalta na tha
Aur Lab main hamare Dil ke siwa kuch jalta na tha
Zindagi ho gayee Unsaturated Hydrocarbon ki Tarah
Aur ham phirte hain Awara Hydrogen ki Tarah
Popularity: 3% [?]
Kehte hain ki ISHQ main neend ur jaati hai
Koi humse bhi ishq kare
Khambhaqat neend bahut aati hai
———————
Kar diya izhare-ishq hamne telephone par,
laakh rupaye ki bat thi,
do rupaye main ho gayee (wah wah)
———————
Maine tujhe dekha
Dekhta raha,
Dekhta hi gaya……..
Phir mujhe chashma lag gaya
———————
Aur bhi cheezain bahut see lut chuki hain dil ke saath
Ye bataya dooston ne ishq furmane ke baad;
Is liye kamre ki ek ek cheez "ckeck" karta hoon main
"Ek tere aane se pehle, ek tere jaane ke baad"
———————
Taj Mahal kya cheez hai
main to usse bhi bara mahal banaoonga,
aree Mumtaz to marke dafan hui thi,
main to tujhe zinda hi dafna doonga.
———————
Kaash Tere Chehre Pe
Chickenpox Ke Daag Hote
Chand To Tum Ho Hi
Sitare Bhi Saath Hote
———————
Jise samjha Leher Pepsi
Woh nikla Jeher Pepsi
Jise samjha Coca Cola
Woh nikla Dhoka Cola
Ab piyo Wine and Whisky
Life hoga No More Risky
———————
Khirki khuli zulfein bikhri
Dilne kaha dildar nikla
Par haire meri footi kismat
Nahaya hua sardar nikla
———————
Zindagi to hum bhi jee rahe thay,
Taqdeer humari kharab nikli
Tajmahal hum bhi bana sakte thay,
Mumtaz humari bewafa nikli
———————
Kaash dil ki awaz ka itna asar ho jaaye
Hum unhe yaad karen
Aur unhe khabar ho jaaye
———————
Aansu ko ankhon ki
Dehliz pe laya na karo.
Apne dil ki halat
Kisiko bataya na karo.
Log mutthi bhar namak liye
Ghoom rahe hain
Apne zakhm kisiko
Dikhaya na karo.
———————
Mohabbat ki shamma jalake to dekho,
Zara dil ki duniya saja kar to dekho,
Tumhe ho na jaaye mohabbat to kehna,
Zara humse nazaren milake to dekho.
———————
Log ishq karte hain,
Bare shor ke saath.
Humne bhi kiya,
Bare zor ke saath.
Magar ab karenge,
Thora gaur ke saath.
Kyonki kal usko dekha,
Kisi aur ke saath.
———————
Ta mam umar zindagi se door rahe,
Teri khushi ke liye tujse door rahe
Ab is se badkar wafa ki saza kya hogi
Ki tere hokar bhi tujse door rahe.
———————
Ankhen apki ho, par ansu mere
Zindagi apki ho, par sanse meri
Dil apka ho, par dharkan meri
Zindagi ke akhri mor par dua hogi yahi
Kafan apka ho, aur maut meri.
———————
Jab bhi apse milne ki takdeer nazar ayi
Mujhe pavon main bandhi zanjeer nazar ayi
Teri yaad main nikal pare mere aansu
Har aansu main teri tasweer nazar ayi.
———————
Talaash karo koyi tumhe mil jayega
Magar humari tarah tumhe kaun chahega
Zaroor koyi chahat ki nazar se tumhe dekhega
Magar hamara dil kahan se layega.
———————
Pyaar ke jaam ko aise na piyo ke
Adha piya aur adha chor diya
Yaron yeh pyaar hai pyaar
Nahin koi Max Bar
Jo thora sa lagaya aur bas hogaya…….!!
Popularity: 3% [?]
Kash Mai Tairay Haseen DESKTOP Ka ICON Hota
Tu Baray Piyar Say Baray Chao Say Baray Maan Kai Sath
Mujh Ko Dihray Say DOUBLE CLICK Kiya Karte
Aur 98 WIN Kai COOL TASKBAR Per
Jab Kabhi Mujh Ko ADD Karlia Karte
Mai Tairay Ahasaan Talay Dab Sa Jata
Jab Kabhi Moond Mai Aker Aisay He Mujh SELECT Kiya Kerti
Mai Tairay CLICK Ki Waja Say Nila Sa Hoja Ta
Jab Bhi To Maire PROPERTIES Daykha Karti
Mai Ek WINDOW Kai Saharay Tujh Say Kae Batain Karta
Taire Zulfoo Ko Tairay Charay Ko Takta Rahta
Agar To Bhi Mujh RECYCLE BIN Main Dal layti
Mai Apni Baychari Kismat Per Ansoo Bahata
Mai Tairay DESKTOP Per DRAG Ho ta Rahta
Kabhi LINE UP Kabhi AUTO ARRANGE Hota Rahta
Kuch Nahi To RECYCLE BIN Ka He ICON Hota Rahta
KASH Mai Tairay Haseen DESKTOP Ka ICON Hota
Popularity: 3% [?]