Gae ruto’n k nishaan, kuch kahayal hain kuch khuwab
So ye nishan bhi thehernay k ab nazar mein kahan?

Ghar se bahir to nikal aya safar k shauq mein
Jab gali mein pao’n rakha, samnay rasta na tha.

Gardaab mein, chonk parra un ki sadaa per
Ehsaan ye mujh per mery ehbaab na kartay. . !

Gohr-e-wafa ki muhabbat k roz-o-shab ka khayal
Ye meri aankh bhi kia kia uchalti jaye. .

Gulshan ko aag lag rahi thi rang-e-gul se ‘Meer’
Bulbul pukari, dekh k sahab paray paray. . !
Bulbul pukari, dekh k sahab paray paray. . !
Gae ruto’n k nishaan, kuch kahayal hain kuch khuwab
So ye nishan bhi thehernay k ab nazar mein kahan?
So ye nishan bhi thehernay k ab nazar mein kahan?
Gar zindagi mein mil gaye tum ittefaq se
Poochaingy apna haal teri be-basi se hum. . !

Giray shabnam k qatray aur bharhi phool’on ki rangeeni
Jahan mein raae’gaan koi bhi qurbani nahi jati. . !

Ghar mein tha kia? k tera ghum usey ghaarat karta
Wo jo hum rakhtey they ik hasrat-e-tameer, so hai. . !

Go qatray mein dariya’on ka toofan samaye
Per shauq ki rudaad kab alfaz pe aaye. . !

Muhabbat mein muhaabbat ki safai de rahy hain hum
Ajab aashiq hain, azar aashnai de rahy hain hum
Hamary haal per jana’n boht khush fehm mat hona
Dikhanay k liye aisay dikhai de rahay hain hum
Koi tohfa tumhein dena to tha apni muhabbat ka
Tumhain lo, aaj zakhm-e-aashnai de rahy hain hum
Hamary rat-jago’n ka tum ko kuch ehsas to ho ga
Dam-e-rukhsat, tumhein sham-e-judai de rahy hain hum
Jinhain khoon-e-jigr se paish ro tehreer karty thy
Ab in lafzo’n ko dil ki roshnai de rahy hain hum
Hum itny shor mein sab se mukhatib bhi nahi ‘Sajid’
Jo sun sakty hain bus unko sunai de rahy hain hum. . !

Lo wo bhi kah rahy hain ye be nang-o-naam hai
Ye janta agar to lutata na ghar ko mein. . !

Lamha-e-rukhsat k goongay sannatay ki . .
Aik gawah tou is ki chashm-e-tar bhi hai. .

Liye phira jo mujhy darbadar zamanay mein. .
Khayal tujh ko dil-e-beqaraar! Kis ka hai?

Laghzish zara si aur saza sari umer ki. .
‘Shehzad’ dosti na hui khoon baha hua. . !
‘Shehzad’ dosti na hui khoon baha hua. . !
Liye phira jo mujhy darbadar zamanay mein. .
Khayal tujh ko dil-e-beqaraar! Kis ka hai?
Khayal tujh ko dil-e-beqaraar! Kis ka hai?
Is dil ne teray baad muhabbat bhi nahi’n ki
Had ye k dharakney ki jasaarat bhi nahi’n ki
Tabeer ka aizaz hua hai usey haasil
Jis ne mery khuwabo’n mein sharakat bhi nahi’n ki
Ulfat tou barri baat hai hum se to sir-e-sheher
Logo’n ne kabhi dhang se nafrat bhi nahi’n ki
Aadab-e-safar ab wo sikhatay hain jinho’n ne
Do chaar qadam tay ye musaafat bhi nahi’n ki
Kia apni safai mein bayaa’n daity k hum ne
Nakarda gunaho’n ki wazahat bhi nahi’n ki
Khamosh tamashaai k manind sir-e-bazm
So zakhm sahay dil pe, shikayat bhi nahi’n ki
Us ghar k sabhi log mujhy chorrney aaye
Dehleez talak us ne ye zehmat bhi nahi’n ki
Us ne bhi ghulam’on ki safo’n mein humain rakha
Is dil pe kabhi jis ne hakoomat bhi nahi’n ki. . !

Utri hai you’n judaiyo’n, tanhaiyo’n mein sham
Jaisy ujaar sheher ki angnaiyo’n mein sham.
.
Rangeen qamqamo’n ka sahara liye huay
Sehmi hui hai sheher ki ra’naai’on mein shaam
Kamro’n mein band, hijr k gosha nasheen tery
Kab dhoondtay hain apni pazeerai’on mein sham
Hum sokhta dilo’n ki tumhain kia khabar k hum
Kaisay guzar laity hain tanhai’on mein sham
Ae akhri kiran! Mujhy ghar tak tou chorr de
Ab dhal rahi hai doobti parchaai’on mein shaam
Na-aashna hujoom mein khoye huay they hum
Guzri hai aaj aisi shanasaai’on mein sham. . !

Naadim hoon mein ne koi bhi rahat na di tujhy
Tu jis ka mustahiq tha wo chahat na di tujhy
Apny hi roz-o-shab k jhamelo’n mein gum raha
Jis per tera tha haq wo rafaqat na di tujhy
Tu paas tha tou meri anaa k ghuroor ne
Pathar k aik but ki bhi wuq’at na di tujhy
Dariya tha mein khuloos ka har shakhs k liye
Per boond bhar bhi meine muhbabbat na di tujhy
Kaghaz k qamqam’on ko jalanay k shauq mein
Afsos, koi sham-e-rafaqat na di tujhy
Tu sochta tou ho ga k shayar k piyar ne
Apni kisi ghazal ki bhi surat na di tujhy
Mein kia karu’n k meray both se azaab the
Bus is liye kabhi koi zehmat na di tujhy. . !

Mata-e-dil hi bachi thi bus ik zamanay mein
So hum usey bhi teri anjuman mein haar aaye. .