Maqtal se aaney wali hawa ko bhi kab mila
Aisa koi dareecha k jo be-saleb tha. . !

Makeen khush they k jab band they makano’n mein
Khulay kawaarr tou taalay parray zabano’n mein. . !

Mein tou usko dekhtay hi jaisy pathar ho gaya
Baat tak na munh se nikli be-wafa k saamney. . !

Mujh ko to hosh nahi’n tum ko khabar ho shayad
Log kehtay hain k tum ne mujhy barbaad kiya. .!

Mein hi nahi’n sab log ye kehty hain kasam se
K chaand teray husn ka andaza hai shayad. .!

Manga karaingy ab se dua hijr-e-yaar ki
Akhir tou dushmani hai asar ko dua k sath. .

Mein mae-kaday ki raah se ho kar nikal gaya
Warna safar hayaat ka kitna taweel tha. . .

Mit chalay meri umeedo’n ki tarha harf magar
Aaj tak tery khato’n se teri khushbu na gae. .

Meray daaman mein shararo’n k siwa kuch bhi nahi’n
Aap phoolo’n k kharidaar nazar aaty hain. .

Meine chaha tha andoh-e-wafa se chootu’n
Wo sitam’gar mery marnay pe bhi razi na hua. . !

Mein phool chunti rahi aur mujhy khabar na hui.
.
Wo shakhs aa k mery sheher se chala bhi gaya. .

Meri rooh ki haqeeqat mery aansuo’n se pooch!
Mera majlisi tabassum mera tarjumaa’n nahi’n hai. .

Muddat k baad azn-e-tabassum mila magar
. .
Wo bhi kuch aisa talkh k aansu nikal parray. .

Meri zindagi pe na muskura, Mujhy zindagi ka alam nahi’n
Jisay tery ghum se ho waasta, Wo khizaa’n bahaar se kam nahi’n. . !

Meray hissay ki be-taabi mujhay mil hi jaye gi
Wo nahi’n aata, na aaye mera kia le jaye ga. . !

Mujh se kafir ko tery ishq ne youn sharmaya.
Dil jo tujhy dekh k dharka tou khuda yaad aya. .

Munhasir ehl-e-sitam per hi nahi’n hai ‘Mohsin’
Log apno’n ki enayat se bhi marr jatay hain. .

Mata-e-dil hi bachi thi bus ik zamanay mein
So hum usey bhi teri anjuman mein haar aaye. .

Mein sheher bhar mein aik hi eeza-pasand hoon
Gar chahiye dua tou mera dil dukhaiye. . !