Bhatak rahay hain andheray main kaaflay,
Kah rahbari kay liye pair e karwaan na raha

Bhool si bhool hai ahsaan wo farmaatay hain,
Haan kaheen aap ko dekha hai magar yaad nahi..

Boojh wo siray sa gira hai uthay na uthay
Kaam wo aan para hai kay banaye na banay !

Ye alag baat hai kisi pairr se mansoob nahi
Barg-e-awaara sahi, hain tou chaman mein hum bhi. . !

Ye dil zakhm hai ik roz bhar hi jaye ga
Shagaaf pur nahi hotay faqat chataan’on k . !

Ye mizaaj hai apna kisi ka dil na dukhay
Judai’on ko bhi chaha hai qurbato’n ki tarha. !

Ye rishta-e-khuloos hai, tootay ga kis tarha?
Rooho’n ko choo sakty hain bhala kab fana k hath. . !

Yaado’n ki aag thi k khayalo’n ki chaandni
Shab bhar mery makaan mein ik roshni rahi. . !

Ye charagh-e-anjuman to hain bus aik shab k mehmaan
To jala wo shama ae dil! jo bujhy na kabhi jal sakay!

Yehi kahaingy jo pucha gaya wahan hum se
Jiye to khaak, magar zindagi guzaar aaye. !

Ye phool apni latafat ki daad paa na saka
Khila zaroor magar khil k muskura na saka. !

Yahan jabr hi musallat rahay ga. .
Agar shor’eeda-sir koi nahi aye ga . !
Agar shor’eeda-sir koi nahi aye ga . !
Yehi behtar hai k katra k nikal janay do
Saamna ho ga to phir tujh pe machal jaonga. !

Ye ajeeb khail hai piyar ka, Meine aap dekha ye mojza
Wo jo lafz mery gumaa’n mein thy, Wo teri zuban pe aa gaye. !

Yaad aati hai jo marhoom tamanna’on ki
Bhool jata hun k mehroom tamanna hun mein . . !

Ye almiya hai mery ghar k paasban’on ka
Parry jo wakt tou apas mein larrny lagty hain . !

Yeh wehem tha k mujhy wo bhula chuka ho ga
Magar mila to wo meri hi tarha muztarib tha. . !

Cherati hai muje bebaki khawaish kia kia,
Jab kabhi hath wo paband e hina hote hain.

Ye ittefaq hai sab raah ki musafat k
Chalay kisi k liye, jaa milay kisi k sath. . !

Yehi hai na tumhein mujhsy bicharr janey ki jaldi hai
Kabhi milna tunhary masly ka hal nikalaingy. . !