Ye fakhr tou haasil hai, buray hain k bhalay hain
Do chaar qadam hum bhi tery sath chalay hain. . !
Do chaar qadam hum bhi tery sath chalay hain. . !
Yehi dil tha k tarasta tha maraasam k liye
Ab yehi tark-e-talluq k bahaney mangay. . !
Ab yehi tark-e-talluq k bahaney mangay. . !
Ye uzr imteha’n jazb-e-dil kaisa nikal aya
Mein ilzaam unko deta tha, Qusoor apna nikal aya. !
Mein ilzaam unko deta tha, Qusoor apna nikal aya. !
Ye ajnabi si manzilain aur raftaga’n ki yaad
Tanhai’yon ka zeher hai aur hum hain dosto!
Tanhai’yon ka zeher hai aur hum hain dosto!
Yun phir raha hai kaanch ka paikar liye huay
Ghafil ko ye gumaa’n hai k pathar na aaye ga. . !
Ghafil ko ye gumaa’n hai k pathar na aaye ga. . !
Ye kia kam hai k marr janey pe duniya yaad karti hai
Kisi k ishq mein duniya luta kar hum bhi dekhaingy. !
Kisi k ishq mein duniya luta kar hum bhi dekhaingy. !
Ye urray urray se rung, ye khilay khilay se gesu!
Teri subha keh rahi hai, teri raat ka fasana. . !
Teri subha keh rahi hai, teri raat ka fasana. . !
Ye aur baat hai saaqi k mujhy hosh nahi’n
Warna mein kuch bhi hun ehsaan faramosh nahi’n
Warna mein kuch bhi hun ehsaan faramosh nahi’n
Ye mojza teri angraai se hua afsha
Tery wujood ka har rung aasmani hai!
Tery wujood ka har rung aasmani hai!
Yahan jabr hi musallat rahay ga
Agar shor’eeda-sir koi nahi aye ga . .
Agar shor’eeda-sir koi nahi aye ga . .
Ye kon bataye, adum-aabad hai kia!
Tooti hui qabro’n se sadaa tak nahi aati. !
Tooti hui qabro’n se sadaa tak nahi aati. !
Ye hayaat-e-mukhtasir hi kaatni dushwaar hai
Kia karu’n ga lay k umer-e-jawida’n tere baghair.
Kia karu’n ga lay k umer-e-jawida’n tere baghair.
Yaas ki tareekio’n mein doob janey do mujhy
Ab mein shama-e-aarzu ki lau barha sakta nahi’n. . !
Ab mein shama-e-aarzu ki lau barha sakta nahi’n. . !
Jaan tu kis ke liye apni ganwaata hai Adeem,
Khubsurat hai woh lekin tera kya lagta hai..
Khubsurat hai woh lekin tera kya lagta hai..
Yeh kya bahaar ke ginti ke chand phool hansain,
Bahaar woh hai jo sarey chaman ke kaam aye..
Bahaar woh hai jo sarey chaman ke kaam aye..
Aik misraa hai zindagi meri,
Aap chahain to sher ho jaye..
Aap chahain to sher ho jaye..
Yaawar meri ik umar samandar mein katti hai,
Kis shakhss ne dekhe hain bhanwar mujh se zeyada..
Kis shakhss ne dekhe hain bhanwar mujh se zeyada..
Baadh kar ahd-e-wada koi gaya hai mujh say,
Aay meri umar-e-rawan or zara ahista..
Aay meri umar-e-rawan or zara ahista..
Yaad kar ke tum ne kya beemar ko acha kiya,
Aik hichki mein mere marney ka samaan ho geya
Aik hichki mein mere marney ka samaan ho geya
Bhool si bhool hai ahsaan wo farmaatay hain,
Haan kaheen aap ko dekha hai magar yaad nahi..
Haan kaheen aap ko dekha hai magar yaad nahi..